فیس بک گروپ کے لیے 9 رہنما اصول کیا ہیں
Translation:
Groups kay leya 9 rahnuma asool kya hn? What are the nine guiding principles for the group?
Social media per group Bana kar members ko add karna yah Dawat dena aik Aam baat samjhi Jaati hai.Syast se lekar Mazhab Tak hr trhan ka group banta hai. aur in he mouzoaat per membran ko post karne ki Ijazat bhi hoti hai. Group admin is Baat Ka khyal rakhte hain kay membran ke taraf se comments tahzeeb kay diary mein hun. lekin Baz oqat admin ke bharwaqat entry na hone ki vajah se membran aapas Mein itne ulaj Jaate Hain Kh aam baat cheet Galiyon Mein Badal Jaati Hai.
YA admin jaanbujh kar in ke darmiyaan Baat nahin karte take kisi aik ke favour se dusra naraz Na Ho Jaaye ya phir admin ki tamash been zehniat aisi surate haal sa lutf kasheed karne ki vajah se group ko resling ring Mein Badal dayti hai Jo sharif aur sada mizaj membran ke liye takleef Ka bahis bn jaati hai aur vo Chupke Se yah group chhod Kar apni Izzat bachate hain.
Aysay group Ta dair nahin chal patte aur Jald toot kar khatm ho Jaate hain.
group ko parwan chadhane mein itne salon ke mehnat zaya ho Jaati hai. Isliye group banana to behad aasan hai Magar isy Ta dair chalana Mushkil kam hai.
group chalane ke liye admin ko bahut zyada bardasht aur Mamla fahim hony ki zarurat hoti hai, tab hi group tarqi krty Hain.
social media kay in groups ke liye 9 rahnuma asoolon ka tazkera Karna chahti hoon, jinko follow krny say aik group mazboot bunyadon per qaim Kiyaa Ja sakta hai.
1. Group chat Mein Logon ki Tareef Karen chahe vo aapke dost na hon, isse na sirf unki hosla afzai hogi balke vo Khud ko Aham samjhen gy.
2. Kisi topic per baat karte hue members ko battamizi se mat token. Aisa karne se members apni bezati mehsoos Karega aur Bura man kar hamesha ke liye khamosh bhi ho sakta hai aur aainda kisi topic per khulkar apni raye nahin de sakega.
3. Kisi member ki koi baat Pasand nahin aati to ussy group mein Kahney ki Bajaye inbox kar den. Yun vo bura nahin mane ga, aur na hi Sharminda hoga.
4. Kisi bhi member ki insult na Karen aur na hi buri Zubaan ka istemal Karen. Is Tarah Ke rawaiya se aap khud bd tahzeeb aur kam ilm zahr Honge aur apne platform ko bhi tabah kar denge.
5. Jahan aap se Galti ho gai ho to foran sorry yah Mazrat Karlen. Istrhan group mein Paida Hone Wali tension kam Hogi aur group ke Mamlat normalise hone lagengy.
6. general group chat mein Kisi aik he members Ko Itni ahmiyat na den Ki Baki log Bura mehsoos Karen ky Inko ignore kiya ja raha hai, Is Tarah se members group main se nikalna shuru ho Jaengy .
7. Agar koi shaks apni Khushi group mein Mana Raha Hai Tu to uski Khushi Mein Sharik hun chahe aap uske behtarin dost na hon, is trhan Bahi charay ka Jazba Paida hoga.
8. Her members ke apni nature hoti hay. Koi sirf padhne ke liye aata hai to Koi sirf group mein post karne ke liye aur koi post per comment Karta Hai tou Koi comment nahin karta,lehaza Kisi Ko post karne ya comment karne per majbur na Karen aur na nikaalen. Har Ek Ko Apna hissa dalne Den. Khud bhi khush rahen Aur dusron Ko Bhi Jeene Den.
9. agar koi bymahni post karta hai tou shuru mein uski Tareef karen, phir pyar sa smjayen,aur malomaat durust kren. Lakin muzamat karny wala Andaz na apnaen blky aik dusre say ahtaram se pash ayen.
11 Comments
zbrdast
ReplyDeleteshukria
DeleteNice write up.. sage advice 💕
DeleteThese rules may be a good starter pack but it may vary from person to person. That's my humble opinion 😊
ReplyDeleteThanks hamza
Deleteاچھے نکات ہیں لیکن ہم اچھی باتوں پر عمل کم ہی کرتے ہیں
ReplyDeleteدرست
Deletevery good but translation should be in English not in roman Urdu. Otherwise, impressive
ReplyDeleteRoman urdu best for those who couldn't understand English. And our writing is not specifically for English people 😊
DeleteNice write up.. sage advice ��
ReplyDeleteبہت شکریہ آپی.... جزاک اللہ 😘
Deletethanks a lot